Friday 27 October 2017

Bhool jaata par..

Bhool jaata par tu yaad bahut aata hai,

Kabhi hothon par hansi ban kar, 
kabhi aankhon mein nami ban kar,
kabhi dil mein ehsaas ban kar, 
Kabhi khwaabon mein mohabbat ban kar
Kabhi duaaon mein khuda ban kar,
Kabhi fizaaon mein hawa ban kar,
Bhool jaata par tu yaad bahut aata hai, yaad bahut aata hai.

tujhe bhoolna bhi teri yaad hi dohrata hai.

No comments:

Post a Comment