Friday 27 October 2017

Bhool jaata par..

Bhool jaata par tu yaad bahut aata hai,

Kabhi hothon par hansi ban kar, 
kabhi aankhon mein nami ban kar,
kabhi dil mein ehsaas ban kar, 
Kabhi khwaabon mein mohabbat ban kar
Kabhi duaaon mein khuda ban kar,
Kabhi fizaaon mein hawa ban kar,
Bhool jaata par tu yaad bahut aata hai, yaad bahut aata hai.

tujhe bhoolna bhi teri yaad hi dohrata hai.

You and thoughts

Toot jaata hoon ye soch kar, kya kabhi yaad bhi kiya tune apna soch kar,
Rooth jaata hoon ye soch kar, saari zindagi tujhse judaai aur doori soch kar,


Dil ko samjhaaya maine ye soch kar, wo khush rahe mujhe apna raqeeb soch kar
Pyaar nahi kiya tha usey kuch soch kar, raastey badal hi jaane they thoda door chal kar

Ishq sulagta rahe zindagi bhar isi umeed par, kabhi yaad kare wo apna khoya pyaar soch kar
Mein muskurata raha hoon ye soch kar, wo udaas na ho jaaye meri aankhon ki nami dekh kar